Thursday, August 2, 2007

to start with..



Har khushi se dur, har gham ke karib main rehna chahta hoon, Bas ek apne aap
mein, aur dusre tanhai mein main rehna chahta hoon.

Na pyaar ka ehsas ho kabhi, ki ilzamon se ghir jaoon nahin,
Is se pehle ki koi saza de, khud hi ko saza main dena chhta hoon.

Gar koi gunah hua ho kabhi humse, shayad isliye,
Mulzim kehlane se pehle, khud ko mujrim karar main karna chahta hoon.

Yeh fizul ke yaarane, be-matlab ranjishein aur katl-e-armaan,
Na vaadon ka ehsaan, na ummidon ka udhar main lena chahta hoon.

Vo pyaar ki baatein, doston ki guft-a-goo aur hasne-hasane ki mehfilein,
Ab choodo ye baatein, bas ghame-e-tanhai mein mast main to rehna chahta hoon.

Mere bhitar jhaank kar, dabi-chhipi aawaz na sunle koi,
Har baat na sunle koi, jaane kisse kya main kehna chahta hoon.

Toofan se kaun darta hai aye khuda, lekin,
Maujo mein bhi to kahan main behna chahta toon.

Ghazal ye marham hoti jo, dard-e-dil ka har ghav bhar jata,
Ab iske siva kya kahoon, ki sirf dard main sehna chahta hoon.

Kuch aisa kar loon ki, apne duniya yaad rakkhe mujhko,
Fir aye maalik, bas teri god mein main sona chahta hoon.

Har sham yaad hai sharaab-wali, doston-dushmano ke sath-wali,
Bohot hua auron ke sath be-wajah ab to, bas khud hi pina, khud hi ko main pilaana chahta hoon.

Khushi, main chahoon na chahoon, ummidon ko dafan bhi kar dun gar,
dard-e-talab bujh jati hai kaise, kambakht kuch bhi kahan main bujhana chahta hoon.

Wajood-e-khushi-e-hayaat dhoondte hue, abroo-e-imaan-e-chain kho baithe,
ab likhte nahi to kya karte, kisiki humdardi bhari nigaah kahaan main paana chahta hoon.

Koi naam puchhe to, malum nahi kehna,
Nahin kisiko gumrah, main karma chahta hoon.

Bayan-e-haal-e-dil hai ye faqat, nahin tumse mukabla-e-shor, aye GHALIB,
Gustakhi zarur hai, lekin Kahan kisise yaari ya dushmani, ab main karna chahta hoon.

No comments: