Friday, August 3, 2007

another one from ghalib.. he is great.. i will learn urdu to read him..

"qatl ka mere  kiya  hai 'ahad to baare
waah ! akhar 'ahad ustuwaar naheen hai"

it means that she made a promise to kill.. but at
the end, there is no firmness or determination in
her promise..



nice lyrics.. i like it..

tera yakin kyon maine kiya nahi, tujhse raah kyon juda
mujh pe yeh zindagi karti rahi sitam, tune hi di hai panah
tera mera rishta puraana - 3

hai kya tadap hai, hai yeh kaisi saza
tu kyun mujhe aaj yaad aa gaya
bechain din mere, bechain raat hai
kya main karu kuchh bata
yeh mere paanv hi khud meri bediyaan
uss se tu mujhe chhooda
tera mera rishta purana - 4

kya mujh mein hai shaks woh keh raha
aa aab main du karz tera chuka
aankhen hai nam meri, saasein chubhan meri
zakham huwa pir haara, dil ke viraane mein
mere phasane mein, tu hi toh har dum raha
tera mera rishta purana - 4

oh tera mera rishta purana - 2

Thursday, August 2, 2007

how about this one.. "A FRIEND".. ha ha..

(A)ccepts you as you are
(B)elieves in "you"
(C)alls you just to say "HI"
(D)oesn't give up on you
(E)nvisions the whole of you (even the unfinished parts)
(F)orgives your mistakes
(G)ives unconditionally
(H)elps you
(I)nvites you over
(J)ust "be" with you
(K)eeps you close at heart
(L)oves you for who you are
(M)akes a difference in your life
(N)ever Judges
(O)ffer support
(P)icks you up
(Q)uiets your fears
(R)aises your spirits
(S)ays nice things about you
(T)ells you the truth when you need to hear it
(U)nderstands you
(V)alues you
(W)alks beside you
(X)-plains thing you don't understand
(Y)ells when you won't listen and
(Z)aps you back to reality

to start with..



Har khushi se dur, har gham ke karib main rehna chahta hoon, Bas ek apne aap
mein, aur dusre tanhai mein main rehna chahta hoon.

Na pyaar ka ehsas ho kabhi, ki ilzamon se ghir jaoon nahin,
Is se pehle ki koi saza de, khud hi ko saza main dena chhta hoon.

Gar koi gunah hua ho kabhi humse, shayad isliye,
Mulzim kehlane se pehle, khud ko mujrim karar main karna chahta hoon.

Yeh fizul ke yaarane, be-matlab ranjishein aur katl-e-armaan,
Na vaadon ka ehsaan, na ummidon ka udhar main lena chahta hoon.

Vo pyaar ki baatein, doston ki guft-a-goo aur hasne-hasane ki mehfilein,
Ab choodo ye baatein, bas ghame-e-tanhai mein mast main to rehna chahta hoon.

Mere bhitar jhaank kar, dabi-chhipi aawaz na sunle koi,
Har baat na sunle koi, jaane kisse kya main kehna chahta hoon.

Toofan se kaun darta hai aye khuda, lekin,
Maujo mein bhi to kahan main behna chahta toon.

Ghazal ye marham hoti jo, dard-e-dil ka har ghav bhar jata,
Ab iske siva kya kahoon, ki sirf dard main sehna chahta hoon.

Kuch aisa kar loon ki, apne duniya yaad rakkhe mujhko,
Fir aye maalik, bas teri god mein main sona chahta hoon.

Har sham yaad hai sharaab-wali, doston-dushmano ke sath-wali,
Bohot hua auron ke sath be-wajah ab to, bas khud hi pina, khud hi ko main pilaana chahta hoon.

Khushi, main chahoon na chahoon, ummidon ko dafan bhi kar dun gar,
dard-e-talab bujh jati hai kaise, kambakht kuch bhi kahan main bujhana chahta hoon.

Wajood-e-khushi-e-hayaat dhoondte hue, abroo-e-imaan-e-chain kho baithe,
ab likhte nahi to kya karte, kisiki humdardi bhari nigaah kahaan main paana chahta hoon.

Koi naam puchhe to, malum nahi kehna,
Nahin kisiko gumrah, main karma chahta hoon.

Bayan-e-haal-e-dil hai ye faqat, nahin tumse mukabla-e-shor, aye GHALIB,
Gustakhi zarur hai, lekin Kahan kisise yaari ya dushmani, ab main karna chahta hoon.